Shahrukh Khan famous dialogues in Hindi :- Shahrukh Khan ने अपने 32 साल के शानदार फ़िल्मी करियर में लगभग 80 से ज्यादा फिल्मे किया है जैसे Action , Romantic , Family , Comedy हर तरह की फिल्मे करि है और हर फिल्म में एक से बढ़कर एक Iconic Dialogue बोला है खाश कर के Shahrukh Khan के Romantic Dilogues . Shahrukh Khan Iconic Dialogues है।
Shahrukh Khan को King of Romance कहा जाता है क्यूंकि Shahrukh Khan ने एक से बढ़कर एक Romantic फिल्मे की है। और उनमे एक से एक Romantic Dilogues बोले है तो आज हम इस Article में Shahrukh Khan famous dialogues in Hindi , Shahrukh khan romantic dialogues , Shahrukh Khan Attitude Dialogues बताने वाले है।
यह भी पढ़े।
- Akshay Kumar Dialogues In Hindi
- Salman Khan famous dialogues in Hindi
- Aamir Khan Dialogues in Hindi , Aamir Khan Dialogue
Table of Contents
Shahrukh Khan famous dialogues in Hindi.
1. Shahrukh khan romantic Dialogues , Sad Dialogues.
Shahrukh khan Dialogues | Movie Name |
1. Sachchi mohabbat ko pechaanne ke liye aankhon ki nahi … dil ki zaroorat hoti hai | Darr |
2. Naam loonga toh woh badnaam ho jayegi | Darr |
3. Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai … joh saans pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai | Darr |
4. Bade bade deshon mein aaisi choti choti baatein , hoti rehti hai | Dilwale Dulhaniya le jaayenge |
5. Agar yeh tujhe pyar karti hai toh yeh palat ke dekhegi , palat…. palat.. | Dilwale Dulhaniya le jaayenge |
6. Toh kya hua agar maine jhoot sirf tumhe paane ke liye kaha tha … toh kya hua agar tumhare chehre ke sivah mujhe koi aur chehra dikhai nahi deta … toh kya hua agar tumhare naam ke sivah mujhe koi aur naam yaad nahi rehta … toh kya hua agar yeh awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai … toh kya hua … pyar sab kuch toh nahi hota na | Dilwale Dulhaniya le jaayenge |
7. Nadi, nadi nahin jismein pani na ho. hawa, hawa nahi jismein ravani na ho. woh shaadi, shaadi nahi jismein prem kahani na ho | Pradesh |
8. Kehdo ki tumhe nahi lagta ki hum dono ek doosre ke liye bane hai … kehdo ki jab main tumse door jata hoon, tum mujhe palat kar nahi dekhti … kehdo ki jab main tumhe choota hoon, tumhe kuch nahi hota … kehdo ki is waqt tum meri baahon mein nahi aana chahti … ek baar meri aankhon mein dekho aur aakhri baar kehdo ki tum mujhse pyar nahi karti | Dil to paagal hai |
9. Woh hai sabse bura … woh hum insaano ke saath ajeeb tarah ke khel khelta hai … woh ek ko doosre se pyar karwata hai, toh doosre ko teesre se, aur teesre ko kisi aur se | Dil to paagal hai |
10. Pyar dosti hai … agar woh meri sab se achchi dost nahin ban sakti, to main usse kabhi pyar kar hi nahi sakta … kyun ki dosti bina toh pyar hota hi nahin … simple, pyar dosti ha | Kuch Kuch Hota hai |
11. Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai … aur pyar ek baar hi hota hai | Kuch Kuch Hota hai |
12. Kuch kuch hota hai Anjali, tum nahi samjhogi | Kuch Kuch Hota hai |
13. Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … mar bhi jaaye pyar waale … mitt bhi jaaye yaar waale … zinda rehti unki mohabbatein | Mohabbatein |
14. Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon … aur is liye nahi ki koi aur nahi mili … par is liye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti | Mohabbatein |
15. Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai … har mod aasaan nahi hota, har mod par khushi nahi hoti … par jab hum zindagi ka saath nahi chhodte … phir mohabbat ka saath kyun chhodein | Mohabbatein |
16. Mohabbat mein shartein nahi hoti … toh afsoos bhi nahi hona chahiye | Mohabbatein |
17. Mohabbat aur sangeet ka bahut gehra rishta hai … kyun ki dono ka janam dil se hota hai … aur dono ki kismat bhi dil ke kehne par nirbhar hai | Mohabbatein |
18. Dosti ke alava bhi kuch rishtey hote hai … kuch rishtey joh hum samajhte nahi … kuch rishtey joh hum samajhna nahi chahte … kuch rishtey jinka koi naam nahi hota, sirf ehsaas hota hai … kuch rishtey jinki koi deewar nahi hoti, sarhad nahi hoti … aaise rishtey joh dil ke rishtey hote hai, pyar ke rishtey hote hai, mohabbat ke rishtey hote hai | Kabhi khushi kabhi gham |
19. Kaun kambakht bardaasht karne ko peeta hai … hum toh peete hai ki yahan par baith sake, tumhe dekh sake, tumhe bardaasht kar sake | Devdas |
20. Babuji ne kaha gaon chhod do … sab ne kaha Paro ko chhod do … Paro ne kaha sharab chhod do … aaj tumne keh diya haweli chhod do … ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do | Devdas |
21. Dil ke chaalon ko koi shayari kahe toh parwah nahi … takleef toh tab hoti hai jab koi wah wah wah karta hai | Devdas |
22. Aaj … aaj ek hasi aur baant lo … aaj ek dua aur maang lo … aaj ek ansoon aur pee lo … aaj ek zindagi aur jee lo … aaj ek sapna aur dekh lo … aaj … kya pata, kal ho naa ho | Kal ho na ho |
23. Main aankhen band karta hoon toh tumhe dekhta hoon … aankhen kholta hoon toh tumhe dekhna chahta hoon … tum paas nahi hoti ho toh tumhe chaaron taraf mehsoos karta hoon … har pal, har ghadi, har waqt | Kal ho na ho |
24. Pyar toh bahut log karte hai … lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyun ki kisi ke paas tum joh nahi ho | Kal ho na ho |
25. Zindagi nikalti jaati hai aur hum sab pyar ke bina jeena seekh lete hai … kyun pyar ko mauka nahi dete, kyun apno par vishvas nahi karte | Main hoon na |
26. Lekin kabhi bhi kahi bhi ek Dost ki zarurat pade to yaad kiiyega ki Sarhad paar ek aisa shaksh hai … joh aapke liye apni jaan bhi de dega | Veer-Zaara |
27. Sachi mohabbat zindagi mein sirf ek baar hoti hai … aur jab hoti hai … toh koi bhagwan yah khuda usse nakamyab nahi hone deta | Veer-Zaara |
28. Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho … to puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai | Om Shanti Om |
29. Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai … ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai | Om Shanti Om |
30. Yadhaash bhi kitni ajeeb cheez hoti hai … kis cheez ko poori zindagi bhoolne ki koshish karo, woh bhoolti nahi … kabhi ek choti si cheez yaad karne ki koshish karo, toh yaad nahi aati | Jb tak hai jaan |
31. Zindagi toh har roz jaan leti hai … bomb toh sirf ek baar lega | Jb tak hai jaan |
32. Teri aankhon ki namkeen mastiyan … teri hasi ki beparwah gustakhiyan … teri zulfon ki lehrati angdaiyan … nahi bhoolunga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan | Jb tak hai jaan |
33. Dil toh har kisi ke paas hota hai … lekin sab dilwale nahi hote | Dilwale |
34. Ek tarfa pyaar ki taaqat hi kuch aur hoti hai, Aur rishton ki tarah do logon mein nahi bant’ti, Sirf mera haq hai ispe, sirf mera | Aie dil hai mushkil |
35. Jab hum apne aap ko achchi tarah samajh lete hai … toh doosre kya samajhte hai, it doesn’t matter … not at all | Dear zindagi |
2. Shahrukh khan Attitude dialogues
Shahrukh Khan Dialogues | Movie Name |
1. Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch haarna bhi padta hai , aur haar kar jeetne waale ko baazigar kehte hai | Baazigar |
2. Udne ki baat parinde karte hai , tutte huye par nahi | Baazigar |
3. Pardes mein agar apne saath ho na … toh desh ban jaata hai … varna desh bhi pardes lagta hai | Darr |
4. Main ek Hindustani hoon … aur main jaanta hoon ki ek Hindustani ladki ki izzat kya hoti hai | Dilwale Dulhaniya le jaayenge |
5. Main inteqam ka ek aaisa dahekta hua koyla hoon … jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai … aur is jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge | Koyla |
6. Pehle shaurat, baad mein aurat | Yes Boss |
7. Rahul, naam toh suna hoga | Dil to paagal hai |
8. Baimaani ka dhanda bhi main imaandari se karta hoon | Duplicate |
9. Main kisi ladki wadki se pyar nahi karta … sirf ladkiya mujhse pyar karti hai | Kuch Kuch Hota Hai |
10. Main yahan par surya ki roshni itni tezz kar doonga … ki woh aadmi joh pachaas saalon se surya ko ghoorta aa raha hai … us he bhi apni palkein jhukani hogi | Mohabbatein |
11. Don ka intezaar toh gyarah mulkon ki police kar rahi hai lekin … Don ko pakadna mushkil hi nahin … namumkin hai | Don |
12. Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A | Chak de india |
13. Isse pehle ki Don ka dushman apni pehli chaal chale … Don apni agli chaal chal chuka hota hai | Don2 |
14. Taqt ki parvah badshah se zyada uske vazir ko hoti hai | Don2 |
15. Don’t underestimate the power of a common man | Chennai Express |
16. Hum shareef kya hue … poori duniya hi badmash ban gayi | Dilwale |
17. Ami jaan kahti thi Koi dhanda chota nahi hota aur dhande se bada koi dharam nahi hota | Raees |
18. Din aur raat logon ke hote honge … sheron ka zamana hota hai | Raees |
19. Joh dhande ke liye sahi woh sahi … joh dhande ke liye galat woh galat … isse zyada kabhi socha nahi | Raees |
20. Zindagi kaatni kise thi … humein toh jeeni thi | Zero |
यह है Shahrukh khan Iconic Dilogues list आईएसएम हमने Shahrukh khan romantic dialogues , Shahrukh khan Attitude dialogues बताया है इनमे से Shahrukh Khan की कौन सा Dialogue पसंद है Comment करके बताये।
धन्यवाद !